Aankhon Ko Visa Nahi Lagta By Gulzar

Blast from the past: Gulzar pens a beautiful ode to Mehdi Hasan, and remembers Ahmed Faraz–it was written sometime in 2012) when he learnt that Mehdi Hasan has passed away.

Video illustration by Irshad Salim

Aankhon ko visa nahin lagta
Sapno’n ki sarhad nahi hoti…
Band Aankhon se soz main
Sarhad paar chala jata hun
Milne ‘‘Mehdi Hasan’‘ say…
Sunta hun un ki Aawaz ko
Chot lagi hay aur ghazal khamosh hai…
Samne baithi hui kanp rahi hai…
Hont ghazal Ka…
Phir Bhi un Aankhon ka lehja badla nahi
Jab kehtey hain
Sookh gaye hain phool kitabon mein
Yaar ‘‘Faraz’‘ Bhi bichar gaye hain
Shayad milay wo khwabon mein…
Band Aankhon se aksar
Sarhad paar chala jata hun…
Aankhon ko visa nahi lagta…
Sapno ki sarhad nahi hoti…

Curated by Irshad Salim, Karachi